Aaiye, Is course ko start karne se pahle ham apko angrezi bhasha ki kuch choti choti cheeze btaege.
1. SUBJECT (Kaam karne vala)
Subject wo hota hai Jo kuch kaam kar rha ho ya uske baare me baat ho rhi ho sentence me.
For Example
1. Woh ja raha hai.1. He is going.
2. Rahul so raha hai.
2. Rahul is sleeping.
Jaise ki apne example me dekha ki Woh ja rha hai yaha pe jaane ka kaam kaun kar rha hai Woh kar raha hai to yaha par Woh subject hai. Vaisahi doosre example me Rahul so raha hai to yaha par sone ka kaam kaun kar
Subject 2 tarah ke hote hai ( There are two types of Subject )
1. Singular
Jab subject 1 person ho ya 1 thing ho ya 1 place ho to wo Singular Subject kehlata hai.
For Example: He, She, Name, It etc.
2. Plural
Jab subject 1 person se zyada ho ya 1 thing se zyada ho ya 1 place se zyada ho to wo Plural Subject kehlata hai.
For Example: I, You, We, They etc.
Singular Subject | Plural Subject |
---|---|
He (Woh, Use) (Boy) | I (Mai, Mujhe) |
She (Woh Use) (Girl) | You (Tum, Tumhe) |
Name (Naam) | We (Hum, Hame) |
It (Yeh) | They (Ve, Unhe) |
2. Helping Verb
Yeh Verb, Subject ki avastha ke baare me batata hai. Jaise Jaise ap aage padhege apko samjh me aata jaega.
For Example
Was | Has | Can |
Were | Have | May |
Will | Had | Should |
Shall | Is | Would |
Be | Am | Could |
Being | Are | Might |
Been | Do, Does, Did | Must |
3. Verb
Verb subject kiya kar rha hai uski jaankari deta hai jaise ki Gaana, Naachna, Khelna, Sochna , Padhna etc.
For Example
Sona (Sleep) | Jaana (Go) |
Naachna (Dance) | Khelna (Play) |
Sochna (Think) | Daudna (Run) |
Likhna (Write) | Chalna (Walk) |
Dekhna (See) | Khareedna (Buy) |
Common Rule to make a Simple Sentences
SUB + Helping Verb + Verb
For Example
1. Mai ja sakta hu1. I can go.
2. Tumhe jaana chahiye
2. You should go.
3. Mai aaonga.
3. I will come.
4. Tumhe khel sakte ho.
4. You can play.
5. Mai naach sakta hu.
5. I can dance.
Negative Sentence
Negative sentence ke liye ap simply not ko teesre number pe rakhde helping verb ke baad apka sentence ban jaega.
For Example
1. Mai nahi ja sakta hu1. I can not go.
2. Tumhe nahi jaana chahiye
2. You should not go.
3. Tum nahi khel sakte ho.
3. You can not play.
Note *
1. Jis sentences ke end me sakta hai, sakte hai ae to vaha par ham Can
ka use karte hai.
2. Jis sentences ke end me chahiye ae to vaha par ham Should ka use
karte hai.
Exercise
1. Tum gaa sakte ho.2. Tumhe nahana chahiye.
3. Tum nahi daud sakte ho.
4. Tumhe likhna chahiye.
5. Tumhe nahi dekhna chahiye
Chaliye ab hamlog jaante hai ki Affirmative Sentences, Negative Sentences and Interrogative Sentences kise kehte hai.
1. Affirmative Sentences
Affirmative sentences normal hote hai jisme nahi, kyu, kya ye sab nahi aate hai.
Rule
Sub + Helping Verb + Verb.Trick to make a sentence
Sub + Right taraf se translate karoExample
1. Ram khel sakta hai.
Sabse pahle subject likho fir right taraf se translate karo.
Subject – Ram
Sakta hai – Can
Khel – Play
To hamara sentence banega
Ram can play.
2. Negative Sentences.
Negative sentences wo hote hai jisme nahi ata hai.
In sentences me bas teesre number pe not ajaega helping verb ke baad baki same rhega.
Example
1. Ram nahi khel sakta hai.2. Ram can not play.
3. Interrogative Sentences.
Interrogative sentences ki shuruwat Kya se hota hai.
In sentences me helping verb sabse pehle aa jayega baaki same rhega.
Example
1. Kya Ram khel sakta hai?2. Can Ram play?
Let’s translate one more sentence.
1. Dhoni bharat ke liye Pakistan ke khilaf cricket khel sakta hai.
Hint: Vahi trick apnae pahle subject fir right taraf se translate kare.Subject – Dhoni.
Sakta hai – can
Khel – play
Ke khilaf – against
Pakistan – Pakistan
Bharat ke liye – for India
1. Dhoni can play against pakistan for India. (Affirmative Sentence). 1. Dhoni can not play against pakistan for India. (Negative Sentence). .1. Can Dhoni play against pakistan for India? (Interrogative Sentence).
Exercise
1. Mai talab me tair sakta hu.2. Sharukh khan katrina kaif ke sath movie bana sakta hai.
3. Woh meri bhavnao ko samajh sakti hai.
4. Wo 15 kg utha sakta hai.
5. Rahul English farrate daar bol sakta hai.
6. Tum yahan ruk sakte ho.
7. Woh bahut tezi se daud sakta hai.
8. Tum yaha gaadi park kar sakte ho.
9. Tum ab ghar ja sakte ho.
10. Aapko vaha jaana chahiye.