Jis sentences ke end me TA HAI, TI HAI, TE HAI, TA HU, TU HU aae to use ham Present Indefinite Tense kehte hai.
Detail
Simple Sentence
Rule: Sub+Verb1+s/es (if subject is singular)
Negative Sentence
Rule: Sub+Do/Does+not+verb
Interrogative Sentence
Rule: Do/Does+Sub+verb
Singular Subject (He, She, Name, It) ke saath hamlog s/es and Does ka use karte hai
Plural Subject ( I, You, We, They) ke saath hamlog Do ka use karte hai
Singular Subject | He, She, Name, It | s/es and Does |
Plural Subject | I, You, We, They | Do |
Example
- Woh padhta hai.
He reads.
He does not read.
Does he read? - Mai bazar jata hu.
I go to market.
I do not go to market.
Do I go to market?
Translate the following sentences by yourself for practice.
1. Woh school jata hai.
2. Rahul bolta hai.
3. Mai dekhta hu.
4. Tum acha gana gate ho.
5. Woh nahata hai.
6. Mai dance karta hu.
7. Rahul cricket nahi khelta hai.
8. Rahul nahi bolta hai.
9. Kya woh waha jata hai?
10. Kya tum mujhe jante ho?